Posts

Showing posts from November 28, 2011

koi kissa koi afsana sunate jate

koi kissa koi afsana sunate jate mere mazi se mujhe aaj milate jate dil ka murjhaya hua phool khilate jate yaad guzre huye mausam ki dilate jate aap ki raah mein mai bhi to pada rahta hooN EK nazar dekh liya kijiye aate jate aap ne mashk-e-sitam chod diya kyu nahak kaun si baat thi ham jaan se jate jate mujhse ye daag-e-judayi nagawara hoga ho sake to mujhe patthar ka banate jate unse kah do ke bahaar aa gayi wo bhi aa ke khaak gulrez ki gulshan mein udate jate

Ye yaad nahi kab pyar huwa bas yaad raha humen pyar tera,

Ye yaad nahi kab pyar huwa bas yaad raha humen pyar tera, jab pyar huwa sab bhool gay ek yaad raha bas naam tera, hum apni baaten bhool gay humen yaad raha bas sath tera, kuch saalon baad wo humse mile hum ne pocha kia hai haal tera, Wo hans kar bole aye pagal tu ye to bta kia naam tera

Aao kisy shab mujhe tot k bikhrta dekho

Aao kisy shab mujhe tot k bikhrta dekho meri ragon main zehar judai utarta dekho, kis kis ada se tujhe manga hai rab se aao kabhi mujhe sajdon mein sisakta dekho, teri talash mein humne khudko kho diya mat aao samne magr kahen chup k humen tarpta dekho.

Mujhe maaf kar maire humsfar tuhje chahna meri bhool thy,

Mujhe maaf kar maire humsfar tuhje chahna meri bhool thy, kisi raah per jo uthy nazar tujhe dekhna meri bhool thy koy nazam ho ya koy ghazal kahen raat ho ya kahen sehar wo gali gali wo shehar shehar tujhe dhondna meri bhool thy meray gham ki koy dawa nhi mujhe tujhsa koy mila nhi mera koy tere siwa nahi ye sochna meri bhool thy...

“Dil Bethe tujh pe Haar piya, Kr tu b Hum se pyar piya

“Dil Bethe tujh pe Haar piya, Kr tu b Hum se pyar piya Ab dard ka darman kon bnay Hum Barson se Bemaar piya In Galyon Me kuch Bhol Gaey Dil roye zar-o-zaar piya kyun chup chup Gum sum rehte ho Ye pochen Hum se yar piya Kuch dil b Bojhal Bojhal hai Kuch yadon ka Ambaar piya Hum tujh se hai Nraz Boht Ye Bhol Gaye Hr Bar piya Kis Haal Me ha Ab Deewana Aa dekh sar-e-bazar piya Ik khwb Ajb sa dekha tha Hum us din se Bezar piya Ab Nend b Hum se rooth Gai Phr kese ho dedar piya Ab keh daalo to Behtar ha Jo karna ha iqraar piya Dil Ghum se hi phat jaye Ga Kr dena Na inkaar piya.

Koi ghazal suna kar kya kerna, Yoon baat barrha kar kya

Koi ghazal suna kar kya kerna, Yoon baat barrha kar kya kerna.? Tum mere thay tummere ho, Duniya ko bata kar kya kerna. Tum ehad nibhao chaahat se, …Koi rasam nibha kar kya kerna. Tum khafa bhi achhe lagty ho, Phir tum ko mana kar kya kerna. Tere dar pe aa k bethay hen Ab ghar bhi ja kar kya kerna Din yad se acha guzray ga Phir tum ko bhula kar kya kerna

Meri baat abhi khatm hi kahan huwi thi,

Meri baat abhi khatm hi kahan huwi thi, Meri to zaat bhi badnaam jahan huwi thi, Mein ne to tum se bahot kuch kehna tha, Meri aankhon ko bhi sawan ki tarhan behna tha, Tum ne mujey kuch na kehne ke kabil samjha, Faqat raahon mein pare pathron ke muqabil samjha, Ab aye ho mere pass kya kehne ko..? Ab to aankhon mein ik aansoon bhi nahi behne ko, Mera to aek hi khawab tha wo to toot gya, waqt mutthi se rait ki tarhan choot gaya...

Ek Mohabbat Hy Or Us Ki Ek Nishaani Hy

Ek Mohabbat Hy Or Us Ki Ek Nishaani Hy Ek Dil Hy Jaisy Haweli Koi Puraani Hy Safar Raat Ka Hy Or Raat Bhi Toofaani Hy Samander Hi Samander Hy Kashti Bhi Doob Jani Hy Ibtada-e-Ishq Sey Intaha-e-Ishq TkMai Hi Tha BeWafa Or Mujhe Hi Wafa Nibhani Hy Mai Laut Aya Hun Manzill Ko Dekh Kr Udhar To Yaaro Virani Hi Virani Hy Ye Intazaar-e-Sehar Khatam Kiu Nhi Hota Kisi Sey Pucho Akhir Maut Kb Aani Hy.....

Khaali jaam liye baithe ho,unaankhon ki baat karo,

Khaali jaam liye baithe ho,unaankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil Jin tak jaam nahin pahunchahai un pyaason ki baat karo Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghatasi lehrai Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

O Jana Chali Aao

O Jana Chali Aao bin tere bas andhera hai ik tu hi mera sawaira hai ghamon me mera basera hai tanhai ne mujko ghera hai O Jana Chali Aao Chali Aao kay... dunia saari hansti hai teri yaaden dasti hein deed ko aankhen tarsti heinbin saawan ye barsti hein O Jana Chali Aao Chali Aao kion zid ye tone thaani hai ye wakat ik behta paani hai ye dunia aakhir faani hai aur mout bi ik din aani hai O JANA CHALI AAO CHALI AAO O JANA...

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI Dill mein tere bas dagha hai

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI Dill mein tere bas dagha hai tuje kia ahsaas hai kisi ka dil to to apna hi jala hai BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI teri jafa se anjaan tha me ki thi muhabat nadan tha me sirf dard hi tum ne diya hai BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI...

kal sahb pocha CHAND say...

kal sahb pocha CHAND say... Suno.... Chandni in raaton main... kho k kaheen wo baaton main, kia naam mera wo leti hai...? . jab tujh ko takti hogy wo... kuch baaten krti gogi wo... kia pegham tuje wo deti hai..? . kuch der yun khamoshi thy phir chand ne aik baat kahi... wo khoiy khoiy rehti hai hansti hai na hi roti hai... sochon me gum hoti hai... mujh se kuch na kehti hai naam tear na leti hai na pegham bhi koy deti hai.. . ye sun k dil ko thaam liya mene ro k tera naam liya zehar ka ik jaam piya..... aur chand ko ye pegham dia... me yaad usay boht karta hon itna usay tum keh dena ....phir.... . naam mera wo leti hai.... ya.. pegham koy wo deti hai...!!!

Tu Meraa Pehla Piyar Sajan

Tu Meraa Pehla Piyar Sajan Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan, Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan, Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan, Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan, Soorat Teri Bholi Bhaali Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan, Dil Ki Baaten Tum Se Karna Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan, Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan, Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar Main Zakhmi Main Lachaar Sajan, Na Tum Se Jis Din Baat Kare Dil Rehta Hai Bezaar Sajan, Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan, Tum Bhi Maano Ek Baat MeriIRFAN Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan

Woh ajeeb mousam tha Ham ne kore kaghaz par

Woh ajeeb mousam tha Ham ne kore kaghaz par Apne khawab likhe the Ham ne khawab dekhe the Ankahi kahani k Haruf sab duaa se the Dard k bulawe the Dil ki hukmrani thi Duur afaq kanaron tak Rahguzar hamari thiAngint zamano main Sans le rahe the ham Ajnabi jazeron main Naqshpa hamare the Aankh main theen tahreren Bepanah jalwon ki Chandni k lahjye ne Ham se guftgu ki thi Zindagi ka har manzer Lamha lamha jaga tha Pahli baar hi ham ne Zindagi ko dekha tha Rooz wa shab k male main Khawab hi to sache the Khoof hay to itna hay Faasloon k junghal main Khawab kho bhi jate hain..

Hanste hein yun hans kar rula jate hein log

Hanste hein yun hans kar rula jate hein log Milte hein yunhi mil kar judaho jate hein log pal do pal ki muhabbat koumar ka saath samjhna "MUHABBAT" bi karte hein orkhafa bi hojate hein log Naseeb mein pyar na tha jo mujhe mila hi nahi kr k izhaar_e_muhabbat bi beparwaah hojate hein log ab kis say shikwa karen apni muhabbat ka Aye "NIZ" kar k wafa k vaadey bewafa ho jate haein log...

jhuuTaa niklaa qaraar teraa ab kisko hai aitbaar teraa

jhuuTaa niklaa qaraar teraa ab kisko hai aitbaar teraa dil meN sau laakh chuTkiyaaN liiN dekhaa bas ham ne pyaar teraa dam naak meN aa rahaa thaa apne thaa raat ye intizaar teraa kar jabr jahaaN talak tuu chaahe meraa kyaa, iKhtiyaar teraa lipTuuN huuN gale se aap apne samjhuuN huuN ki hai kinaarteraa “Insha” se mat ruuTh mat Khafaa ho hai bandaa jaanisaar teraa...

Tumhein ik baat kehni hai magar naraaz mat hona,

Tumhein ik baat kehni hai magar naraaz mat hona, k tum jo har ghari mujko yun itna yaad aati ho, humein itna satati ho k hum tum door hein dono boht majboor hein dono na itna yaad aao tum na yun itna satao tum k itna yaad aa kar yunhamein pagal bana k tum faqat itna bata do k humari jaan lo gi kia...? magar ye bi haqeekat hai tumhari yaad hi to hai har khushi mein bhi har gham mein bhi udasi k palon mein bhi tumhari yaad hi to hai jo har pal ye batati hai mujhe ahsaas dilati hai hum tum bin adhore hain hum tum bin adhore hein...

Ye chahton k silsalay ajeeb thay ajeeb hein

Ye chahton k silsalay ajeeb thay ajeeb hein kabi wo hum se door hein kbi boht kareeb hein jo chaha wo na pa sake jo pa liya use na chaha sake gila karen to kia karen sab k apne apne nasseb hein na koi apna hai yahan jise haal-e-dil suna saken jo dost hein wo door hein jopas hein wo raqeeb hein gila karen to kia karen sab apne apne naseeb hein Ye chahton k silsalay ajeeb thay ajeeb hein...

Hum naazuk hein bilkul kisi ahsaas ki trah

Hum naazuk hein bilkul kisi ahsaas ki trah tum na socho gy to mar jayengay pas raho ya door bas itna khiyal rakhna tum na dekho gy to mar jayengay titliyum mein or hum me yahbat he mushtrik pakar k jab choro gy hmen to mar jayengay apne dil ki tehni pe hi khila rehne do jab bhi tehni se toro gy to mar jayengay kbi na milna hm se moj-e-dariya ban k mil k jab bichro gy hum se to mar jayengay...

Tanha Tanha si Raat or Tanha Tanha se Hum

Tanha Tanha si Raat or Tanha Tanha se Hum Afsurda Afsurda Yaden, Bheega Bheega Mosam, Sookhey patton ka Shor, Andhery ki Sargoshi, Dharkan ki Aahat, Qismat se apne Shikway, Tere ehsas ka atoot bandhan, Tere sath guzre pal, Tere loat aanay ke Umeeden, Tere raste pe nazar, Lamha lamha rat ka Dhalna, Pal pal apni as ka Tootna, Dil ke zakhmon ka ghera hona, Phir, Tanha Tanha si raat aur Tanha Tanha se Hum...

MUDAT K BAD HATH KI LAKEER DAIKH KAR

MUDAT K BAD HATH KI LAKEER DAIKH KAR DIL JAL UTHA HA KHAWAB KI TABEER DAIKH KAR HUM NA DIL MAIN IS LIAY PATHAR BASA LIAY TAJ MAHAL KI DILKASH TAMEER DAIKH KAR MARI HI MUNTZIR HAIN YA B GARDSHAIN YA ASMAN SA UTARTI HAIN TAKDEER DAIKH KAR MUDAT BAD DIL PA RAKHA HA HUM NA HATH KAGAZ PA TARAY HATH KI TAHREER DAIKH KAR AHL KARAM NA APNAY KHIZANAY LOTA DIAY WAQT KA MARA DIL KA AMEER DAIKH KAR KISMAT K MARAY JANAY KIUN CHAL DIAY UDHAR MANZIL B DOUR HO GAI RAHGEER DAIKH KAR LOGON NA APNAY POUN MAIN ZANJEER DAL LI TARI ZULF KA HUA ASEER DAIKH KAR DIL AB B CHAHTA HA TUMHI PAR NISAR HO TAKHIYAL SA KAHIN HASEEN TARI TASVEER DAIKH KAR GEE CHAHTA HA GHAR SA KAHIN DOUR NIKAL PARIN ISHTIAQ ITNAY SARAY MASAIL GHAMBEER DAIKH KAR POET=SYED ISHTIAQ HUSSAIN KAZMI BOOK=IK YADOON KA SAFAR IK YADOON KA GHAM

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k ! Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k ! Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay ! Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka Aur kuch rooz teray sath guzara ker k ! Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!!

Thaharo satao na itna sanam humko.

Thaharo satao na itna sanam humko. Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko. Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao. Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho. Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko. Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge. Tarase the jo naina ab,nis din barasenge. Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko.

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehidekha gia Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe Me khanay ki tauheen hai rindo kihatak Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai Abhi mitti na khunki thi abhi paanina barsa tha Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Mera zikar na karna

Shayad woh mere haal pay be saakhta ro den is baar baharon se mera zikar na karna

Shaam hote hi

Shaam hote hi woh chokhat pay jala k shamen apni palkon pay kayi khuwaab sulati hogi

Mujhe aur kahin le chal wasi

“MUJHE AUR KAHiN LE CHAL WASI” Jahan RAAT Kabhi SOi Na Ho, Jahan SUBAH Kisi Pe ROi Na Ho, Jahan Hijr Ne Wehshat BOi Na Ho, Jahan Koi CHEEZ Kisi Ki KHOi Na Ho,Jahan LOG Hon Sare BEGANE, Jahan Sab K Sab Hon DEEWANE, Jahan Koi Jhoot Ho Na AFSANE,

Phoolon ka ras

Narm narm phoolo’n ka ras nichorleti hain,,, ”wasi”,,, Pathar k dil hote hain ?…titliyon…? k seene main….!!!

Adat kisi ki

zara Roth jany pe itni khushamad Wasi Tum Bigaro gy Adat kisi ki,,,,,,,
zara Roth jany pe itni khushamad Wasi Tum Bigaro gy Adat kisi ki,,,,,,,

Judai ki Rasmein

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain..!!

Yun HUMKO satane ki ZARORAT kyathi,

Yun HUMKO satane ki ZARORAT kyathi, Dil MERA jalane ki ZARORAT kya thi, Jo NHI tha Ishq to keh DYA hota, Dil TOR k jane ki ZARORAT kya thi, Maloom THA agr ye KHUWAB toot jaaenge, Nend m aakar uthane ki ZARORAT kya thi, ISHQ PAR lagti rahengi HAR dor maipaabandi, Hum ko MAJBOR banane ki ZARORAT kya thi, Maan LON agr ye YAKTARFA mohabat thi, Mujh ko DEKH kar muskurane ki ZARORT kya thi . . .

UDAAS LOGO KI BUSTIYO MAI WO TITLIYO KO TALASH KARTI

UDAAS LOGO KI BUSTIYO MAI WO TITLIYO KO TALASH KARTI WO EK LARKI . . . WO GOL CHEHRA, WO KAALI AANKAIN JO KARTI REHTI HAZAAR BAATAIN MIZAAJ SAADA,,, WO DIL KI ACHI WO EK LARKI . . . SAARI BATAIN WO DIL KI MAANAY WOHI KARAY WO, JO DIL MAI TAANAY KOYI NA JANAY,, KYA OS KI MARZI WO EK LARKI . . . WO CHAHATO K SARAAB DEKAY MOHABATOO K WO KHWAB DEKAY WO KHUD SAMANDAR MAGAR HAI PYASI WO EK LARKI . . . WO DOSTI K NISAAB JANAY WO JANTI HAI EHD NEBHANAY WO ACHI DOST WO ACHI SAATHI WO EK LARKI . . . WO JAAM CHAHAT KA PEENA CHAHAY WO APNE MARZI SE JEENA CHAHAY MAGAR HAI DARTI,,, MAGAR HAI DARTI WO EK LARKI . . . MOHABBATO KA JO FALSAFA HAI WO JANTI HAI,,, OSAY PATA HAI WO PHIR BI REHTI DARI DARI SI WO EK LARKI . . . WO JOOTAY LOGO KO SACHA SAMJAY WO SARI DUNYA KO ACHA SAMJAY WOH KITNI SAADI,,, WO KITNI PAGLI WO EK LARKI

Lahoo se dil pe jo kheencha tha naqsh kaise mita doon,

Lahoo se dil pe jo kheencha tha naqsh kaise mita doon, Tu hi bata main tujhe apne dil se kaise bhula doon, Meri hasti ko toh bas aas thi terewajood ki, Meri hasti ka jo haasil hai usse kaise bhula doon, Meri tanhai mein jo saath mera chod na paya, Shab-e-furqat ka jo hasil hai ussekaise bhula doon, Talash e rahat e hayat mein jeevan guzar gaya, Shaoor kho ke jo paya hai usse kaise bhula doon, Wohi toh yaad thi shadaab woh hiyaad hai shadaab, Reh gayi yaad woh shadaab usse kaise bhula doon.

Tum chalakta huwa ek nazar daalo,

Tum chalakta huwa ek nazar daalo, Jaam khali hai isse bhar daalo, Mohabbat ka yehi takaja hai aye jaanashin, Apna ilzaam sabhi mere sar daalo, Jo socha woh toh kiya, Jo na socha kavi woh bhi kar daalo, Main fakiri mein bhi sikandar hoonaaj, Mujhpe daulat ka mat ashar daalo, Faishla baad mein bhi kar lena, Pehle haalat pe nazar daalo, Zindagi jab lagne lage bahoot udaas, Koi chota sa gunaah kar daalo.

Jhooki jhooki palaken. Karti kya hain ishaara,

Jhooki jhooki palaken. Karti kya hain ishaara, Kayamat chaa jaati hai, Uthao na tum lajja ka jo ghoongat.. Zindagi ka koi kona na raha an khalisa, Dekha tumhe jab gumsum yoon kin khayalon mein, Haya aur lajja ki yeh sehleej… Seekh deti.. Paar kar deti har uljhan..! Dhua ooda raha hai sama, Vaadish ki ranjaaish mein,, Jo kashish hai tumhari.. In natkhati adaaon mein, Dhakta hai badan jab badalon ki rumaish mein, Othta hai har kadam teri hi, Parchayon ki taraf! Janee kya umang jagti hai.. Tumhari in shonkh adaon mein Milakar kar detin hain jaane Jaise chand aur suraj.. Ka mail na hona Tere aur mere bandhan mein koi khinchaav sa hona!

Kyun kehte ho isa marz ki dawa nahi

Kyun kehte ho isa marz ki dawa nahi Zulfon se uljhana ab khel nahi Kareeb aakar door ho jao yeh berukhi bhi toh sahi nahi Tere dar par aaye hai Yun muh modna sahi nahi! Tumko dekha hi nahi, Yun nazaron se mile nazar yeh abmumkin toh nahi Par jaane kuyn pukar tumhari lautkar aati hai Intezaar ki ghadiyan kyun ab beganon si nahi Din beet jayenge zamana badal jayega Mausum aayenge aur apna sehra pehnayenge Mat chedo geet pyaar ke Warna hum doob jayenge Chand ko chandani pasand hai, Sagar ko laherien, Phaisla yun toh mushkil hai ki kisko hum apna dost kahen Dost ko dosti pyaari hai.. Toh ab guroor karke hum karen kya Aey chand tujhe chandani ki kasam Tujhe pukarte sagar ki lehron ka vasta Chand sa chehra purnima sa khila Hothon ki lali kya kehti hai bata Tu na ja.. Na ja… Teri mehfil mein ankhiyan becchaiyen kahde hai, Saamne ho tum.. Chehra chupayenkhade hai! Tum jo dard bibhana jano Toh hum wafa tum sang kar chalein hai

Mohabbat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai

Mohabbat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai Tujhe khona bhi mushkil tujhe paana bhi mushkil hai Jara si baat pe aankhein bheengoke baith jaate ho Tujhe ab dil ka haal batana bhi mushkil hai      style="display:block"      data-ad-client="ca-pub-4388328969063861"      data-ad-slot="4682390474"      data-ad-format="auto"> Udaasi tere chehre pe gawara bhinahi lekin Tere khaatir sitaare tod kar lanabhi mushkil ha Yaha logon ne kud pe itne parde daal rakhe hai Kiske dil mein kya hai nazar aana bhi mushkil hai Tujhe zindagi bhar yaad rakhne kikasam toh nahi li Par ek pal ke liye tujhe bhoolana bhi mushkil hai

Yeh pal pal ka chalna, Fasila khatam na karega,

Yeh pal pal ka chalna, Fasila khatam na karega, Tum kitna bhi chaho, Tumhe woh kal na milega! Yeh koi gaata hai, Ya namaaz padta hai, Tum kitna bhi chaho, Tumhe alag khuda na milega! Yeh guzarti hui raat hai, Ya nikalti hui sehar,Tum kitna bhi chaho, tumhe humsafar na milega! Yeh Baarish ki boondein hai, Ya aankhon ke aansoon, Tum kitna bhi chaho, Inhe thamne wala na milega! Yeh dil ke tukde hai, Ya aap ki yaadein, Tum kitna bhi chaho, Tumhe marham na milega! Yeh dil mein armaan hai, Ya sulagte hue sholey, Tum kitna bhi chaho, Tumhe sehra mein paani na milega! Yeh kaisi uljhan ban gayi hai, Dil ki dhadkan, Tum kitna bhi chaho, Tumhe sukoon na milega!

Dil mein basane ki khud ko iski ijazat dedo,

Dil mein basane ki khud ko iski ijazat dedo, Mujhko tum apna banane ki ijazat dedo. Tum meri zindagi ki ek haseen lamha ho, Phoolon se khud ko sajanay ki ijazat dedo. Main kitna chahta hoon kiss tarha bataoon tumhe, Mujhe yeh aaj batane ki ijazat dedo, Tumhari raat si zulfon mein chandsa chehra, Mujhe yeh sham sajane ki ijazat dedo. Mujhe qaid kar lo apne ishq mein, Yeh jaan tum pe lootane ki ijazat dedo.

Phir pyaar kisse tum kehte ho, Khamoshi zuban ke lafzoon mein,

Phir pyaar kisse tum kehte ho, Khamoshi zuban ke lafzoon mein, Kuch posheeda si baton mein, Kuch chahat ki barsatein hai, En baton ko ham mudat se sene mein chpai baithe hai, Kuch payee bina kuch kho dena, Ye pyaar mein ham ne seekha hai, Suraj mein chand sitaroon mein, Har shai mein tumhi ko dekha hai, Dharkan mein bhi nagma bankar, Sagar ki terha tum bethe ho, Yeh pyaar nahi toh tum hi kaho, Phir pyaar tum kisse kehte ho!

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai, Itni jalti dhoop mein yun kab tak ghoomo ge, Aao chal ke beete dino ki chhaon mein bethe, Uss lamhe ki baat karein ke jiss mein koi phool khila tha, Uss lamhe ki baat karein jiss mein kisi ki aawaz ki chandi khanaki thi, Uss lamhe ki baat karein ke jiss mein kisi ki nazon ke moti barsey thay, Koi purani yaad mera rasta rok kar muj se kehtii hai, Itni jalti dhoop main yun kab tak ghoomo ge.

Kabhi kitabon mein phool rakhna

Kabhi kitabon mein phool rakhna Kabhi darakhton pe naam likhna Hamein bhi hai yaad aaj tak woh Nazar se harf-e-salaam likhna Woh chaand chehare woh bahaki baatein Sulagate din the mahakati raatein Woh chhote-chhote se kagazon par Mohabbaton ke payaam likhna Gulaab chehron se dil lagana Woh chupake chupake nazar milana Woh aarazoon ke khvab bunana Woh kissaa-e-naatamaam likhna Mere nagar ki hasin fazaao Kahin jo unke nishaan paao Toh poochna yeh kaha base ho Kaha hai unka qayaam likhna Ga_ii ruton mein hamara Bas ek hi toh yeh mashagala tha Kisi ke chehare ko subah kehna Kisi ki zulfon ko shaam likhna

Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,

Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai, Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai, Neend bhar soye hue arsa hua mujhko, Ke rat bhar khwabo mein ab tu hidikhai deti hai, Khilkhilahat se teri khilta tha yun jo ghar, Khamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai, Jhoothi khushi se rokta hu saki main apna gam, Tanhai aa aa kar mujhe sachhi rulai deti hai, Kahte hai kaaynat mein rangi hai har ek shai, Tere bin kaaynat par feeki dikayi deti hai, Ret ke manind fisla ja raha hai waqt, Ghari ki tik tik me teri halchal sunai deti hai, Chalte-chalte rah pe ab bahakte hai kadam, Hawa ke jhonko mein tu hansti sunai deti hai, Mahfil-o-masti mein tujhe ja ke kya dhundhe hum, Mehfil bhi tere bin marghat dikhayi deti hai, Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai, Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai, Neend bhar soye hue arsa hua mujhko, Ke rat bhar khwabo mein ab tu hidikhai deti hai.

Teri yaadoon ki mehak Saath liye akser hum

Teri yaadoon ki mehak Saath liye akser hum Door khawaboo ke janzeere mein utar jate hain Kyun ke main janti hon Hum aur tum Sirf khawaboo mein hi mil saktey hain Maine socha hai iss baar tumhare humara Aik aisi jaga utroongi Aur tumhain apne paas bitha kar Aankho mein aankhe daal kar Bari himmat kar ke tum se keh dongi Tumse keh dongi ke tum mere ho Tum jo chaho toh Meri ekterfa mohabbat ko saharadedo Zindagi yun toh bahut thori hai mohabbat ke liye Tum jitna bhi pyaar mujhe de sako sara dedo Kuch to bolo Kuch to bolo Kahin aisa na ho ke sehar hotey hi hum wapis uss duniya mein loutjaien Bas yehi chund khiyalaat liye Teri yadoon ki mehak saath liye Akser hum door khawaboo ke janzeere mein uter jatey hain Kyu ke hum aur tum sirf khawaboo main hi mil saktey hain

Judai ke bandi khane mein Bas ab tu jine ka aik hi silsila

Judai ke bandi khane mein Bas ab tu jine ka aik hi silsila hai jana! Tumhari sochon mein dube rehna Tumhare khwabon mein khoye rehna Kisi terha tum ko dekhne ki sebeel karna Tumhare kooche tak ane ka koi bahana karna. Har aate jate se khriyat ki naveed lena Hawaon aur chand aur Parindon pe rashk karna. Mera ji ahwaal poochna hai Tu yeh hai jana! Ke jane kab se…. Judai ke bandi khane mein Baraf ki seel pe tanha Hararat-e-zindagi se kuch Rabbt dhoondti hoon Badan ko apne.. Tumhare hatoon se chuo rahi hoon!

Us ke bina ab chup chup rehna acha lagta hai;

Us ke bina ab chup chup rehna acha lagta hai; Khamoshi se dard ko sehna acha lagta hai; Jis hasti ki yad mein Aanso barastey hain; Samne us ke kuch na kehna acha lagta hai; Mil ker us se Bichar na jaon dartarehta hon; Is liye bas door hi rehna acha lagta hai; Janta hon k chahat main bas anso milte hain; Kuch bhi ho ab is zehar ko pena acha lagta hai; Ji chahey sb khushiyan lai kar us ko de don; us ke pyar main sb kuch khona acha lagta hai..

Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa

Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa… Ab Zehen Main Nuhi Hay, Pur naam tha bhala sa….. Abro khichay khichay sey ankhainjhuky jhuky si.. Batain ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa… Khuabon main khuab uska, Yadon main yad uski… Nendon main ghul gaya ho,Jaisay k Rat-jaga sa… Pehle bhi log aye, kitnay hi zindagimain… lekin woh har tarah say, oron saytha juda sa.. Agli Mohabaton ne, woh Namuradiyan di theen.. Taza Rafakaton se, Kuch Dil tha dara dara sa… Kuch Ye k muddaton se ,Hum Bhi nahi they royee.. kuch zeher main bujha tha ehbaab ka dilasa… Ab Sach kahain to yaro,Humko khabar nahi thi… Ban jayi ga Kayamat, Ek Wakiya Zara Sa… Taivar Bai-Rukhi k Andaaz Dosti k… Woh ajnabi tha laikin, lagta tha aashna sa.

TUM ROOTH JAO MUJSY AISA KABHI NA KARNA

TUM ROOTH JAO MUJSY AISA KABHI NA KARNA MAIN EK NAZR KO TARSU AISA KABHI NA KRNA MAIN PUCH PUCH HAROO SO SO SAWAL KARU TUM KUCH JAWAB NA DO AISA KABHI NA KARNA MUJSY HE MIL K HASNA MUJSY HE MIL K RONA MUJSE BICHAR K JE LO AISA KABHI NA KARNA TUM CHAND BAN K REHNA HUM DEKHTY RAHAIN GAY TUM KISI ROZ NA NIKLO AISA KABHI NA KARNA TUM CHALY JAOGY TO DEKHAIN GAY TUMHARA RASTA TUM LOUT K NA AO AISA KABHI NA KARNA

Kitne din beet gaye hai dekho toh sahi,

Kitne din beet gaye hai dekho toh sahi, Kitne chiragh bujh gaye hai dekhotoh sahi. Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya, Khizaan ek bar phir aagaye hai dekho toh sahi. Kitni chahat se likhti thi mein naam tumhara, Woh qalam hi tod diya hai zara dekho toh sahi. Itni asaani say toh milti nahi nafrat bhi lekin, Tumne hasil shuda pyaar thukra diya dekho toh sahi. Anchal mein apne chupaye thay moti bohat, Ab ke zabt tutne se saylab ravanhai dekho toh sahi. Ana rokti hai mujhay har bar jhuknay se magar, Kitni bar tumne jhukaya hai dekho toh sahi. Faqeer ban kar tere kuchay meinaakar nasir, Kitni aas se dekhte hai tumhain dekho toh sahi

Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai

Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi hai Tum door hue majboori mein hum toot gaye iss doori mein Kabhi waqt mile toh aa jana dil kadarwaaza khula aaj bhi hai Woh sahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde sahil par Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai Tum khush rehna dil ki duniya apni toh chalo barbaad hoi Dil gham ka maara kal bhi tha aurgham ka maara aaj bhi hai Yeh ashk nahi hai aankhon mein yeh taare jhilmil karte hai In aankhon mein jo kal tak tha woh chaand sa chehra aaj bhi hai Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha tha mila Gham kal bhi mera sarmaya tha gham mera warsa aaj bhi hai

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein, Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi. Din Raat Daudti Duniya Mein, Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi. Saare Naam Mobile Mein Hain, Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi. Gairon Ki Kya Baat Karen, Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi. Aankhon Me Hai Neend Badee, Par Sone Ka Waqt Nahi. Dil Hai Gamon Se Bhara , Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi. Paison ki Daud Me Aise Daude, Kya Thakne ka Bhi Waqt Nahi. Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein, Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi. Tu Hi Bata E Zindagi, Iss Zindagi Ka Kya Hoga, Kya Har Pal Marne Walon Ko, Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi