Posts

Showing posts from May 28, 2011

Mohabbat Ki Woh ShiddatAaj Bhi Mehsoos Hoti Hai

MEHSOOS HOTI HAI Mohabbat Ki Woh Shiddat Aaj Bhi Mehsoos Hoti Hai Purani Chot Hai Laikin Nayi Aaj Bhi Mehsoos Hoti Hai Judai Me Milan Ki Tashnagi Aaj Bhi Mehsoos Hoti Hai Meri Aankhoun Me Tu, Khawaboun Me Tu, Saansoun Me Tu Hi Tu Hai Gar Tujhe Choona Bhi Chahoun Toh Tujhe Mein Choo Nahi Sakti Koi Deewar Raahoun Me Khadi Mehsoos Hoti Hai Ye Kaisi Aanch Hai Sardi Ka Mousam Ki Hawaoun Me Badan Me Kyun Lahoo Sansani Mehsoos Hoti Hai Mein Shayer Hoon Mujhe Shohrat Kabhi Bhula Nahi Sakti Ghazal Kehne Me Hi MujhKo Khushi Mehsoos Hoti Hai...

dil mohabbat ke qadmon ki ahat ko

muhabbat dil mohabbat ke qadmon ki ahat ko barson se tarse hoye aik khander ki tarha apni khush fehem subhon ko nadan shamon ko phir yaad karne laga hai gard alood tanhaiyon ki alamat hein makri ke jale ye jale meri rooh mein koi bunta raha!!!

Ham ek dusare se khafa ho k dekheen

Ham ek dusare se khafa ho k dekheen Bohot mil chuke ab juda ho k dekheen Dil_o_jaan pe kiya tuut ti hay kiyamat Zara dard se aashna ho k dekheen Haqeqat ko jhutha fasana banayeen Bicharne ka yun bahana banayeen Bichar k jo ek dusare se mileen ge Kanwal aarzoun k dil main khileen ge Wafaoon pe ham ko bharosa hay lekin Zara dair ko bewafa ho k dekheen Bohot rang dekha hay ham ne milan ka Maza chakh k dekheen berha ki agan ka Agar duur rah kar bahri bekarari To samjheen ge sachi hay chahat hamari Bhula deen k ham main hay koy tahlouck Ham aashqi se raha ho k dekheen...

"Mera Wajud Sirf Meri Mohabat Se Hay ,,

"Mera Wajud Sirf Meri Mohabat Se Hay ,, "Mujhe Gharor Bohat Apni Mohabat Pe Hay ,, "Ki Hay Ek Shaks Say Mohabat Mein Ne Bepanah ,, "Or Meri Zindagi Ka Sukoon Sirf Meri Mohabat Se Hay ,, "Mujhe Chahte Hon Ge oR Bhi Log Bohat ,, "Magar Mujh ko Mohabat Sirf Apni Mohabat Se Hay.

Bedardi Baalama Tujhko Mera Mann Yaad Karta Hai

Bedardi Baalama Tujhko Mera Mann Yaad Karta Hai Barasta Hai Jo Aankhon Se Woh Saawan Yaad Karata Hai Kabhi Hum Saath Guzare Jin Sajeeli Rehguzaroun Se Fiza Ke Bhes Mein Girte Hain Ab Patte Chanaroun Se Yeh Raahein Yaad Karti Hain Yeh Gulshan Yaad Karta Hai Koi Jhonka Hawa Ka Jab Mera Aanchal Udaata Hai Gumaan Hota Hai Jaise Tu Mera Daaman Hilaata Hai Kabhi Chooma Tha Jo Toone Woh Daaman Yaad Karta Hai Woh Hi Hain Jheel Ke Mandar Woh Hi Kirnoun Ki Barsatein Jahan Hum Tum Kiya Karte The Peharoun Pyaar Ki Baatein Tujhe Is Jheel Ka Kaamosh Darpan Yaad Karata Hai Bedardi Baalama Tujhko Mera Mann Yaad Karta Hai...

Ager keh doyeh bujhti shammayein

khamosh kyun ho Ager keh do yeh bujhti shammayein aur yeh deep' phir se jugmaagaeingey andheeron ke yeh saaey rooshni mein ghum hojaeingey ager keh do yeh kaliyaan' yeh bahaarien muskuraayeingi tumhare pyar ki kushboo hawaa'on mein basaaiyeingi Mohabbat mein humein saawun ke jhooley yeh jhulaayingi tao phir in baadloon ke sang humein os paar aana hai jahaan tum aur tumhari khwaahishon ka ik khazana hai mujeh maloom hai tum ko jahaan pe laut jana hai ager keh do tao sari umur mein raste sajaoongi tumhari yaad k ansoo aankhoon mein basaoongi tumhari waapsi aur milun ke geet gaaongi AGER KEH DO TUMHE MUJH SE MOHABBAT HAI tao pulkoon k kinaaron pe haseen kuch khwaab tik jaaein humari rooti ankhoon pe yeh saare ashuk ruk jaaein ghataayein runj-o-ghum ki dil ke angun se saaruk jaein AGER KEH DO AGER KEH DO....??

Merey Humsafar

zara socho Merey Humsafar Bersoon Ki Soch main sochoon to Kuch Perchahiyaan Kuch Pachtaway Merey Humsafar Hain Bersoon Ki Chahat Ko Lamhoon Main Sochoon To Kuch Aansoo kuch Shikway Mery Humsafar Hain Bersoon Ki Rafaaqat Ko Lamhoon Main Sochoon To Kuch Nafratain Kuch Fasle Merey Humsafar Hain Bersoon Ki Dosti Ko Lamhoon Main Sochoon Ko Kuch Kirchiyaan Kuch Zakhm Merey Humsafar Hain Bersoon Ki Mohabaat Ko Lamhoon Main Sochoon To ik Kho-khala Dil Kuch Murda Jazbaat Merey Humsafar Hain...

tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit bune

sapnay tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit bune is duniyaa ke shor meN lekin dil kii dhaRkan kaun sune sargam kii aavaaz pe sar dhunne vaale laakhoN paaye naGhmoN kii khiltii kaliyaaN chun-ne vaale laakhoN paaye raakh huaa dil jin meN jal kar vo angaare kaun chune tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune armaanoN ke suune ghar meN har aahaT be-gaanii niklii dil ne jab nazdiik se dekhaa, har suurat anjaanii niklii bojhal ghaRiyaaN ginte ginte sadme ho gaye laakh gune tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune..

Jahan phoolon ko khilna tha wahen khilty to acha tha,

Jahan phoolon ko khilna tha wahen khilty to acha tha, Tumhe ko hamny chaha tha tumhe milty to achha tha, Koi aakar hamin poochy tumhin kisy bhulaya hai, Tumhary khat ko ashkon sy shab-i-gham mein jalaya hai, Hazaron zakhm aisy hain agr silty to achha tha, Tumhi ko ham ne chaha tha,tumhi milty tu acha tha, Tumhin jitna bhulaya hai tumhare yaad aaie hai, Bahar-i-no jo aaie hai wahe khushboo he laie hai, Tumhari lab meri khatir agr hilty to acha tha, Tumhi ko ham ne chaha tha,tumhi milty tu acha tha.. Mila hai lutf bhi hamko haseen yadon ke jhilmil mein, Kate hai zindge tum bin magr aitne se hai dil mein, Agar ati to acha tha agr milty to acha tha, Tumhi ko ham ne chaha tha,tumhi milty tu acha tha..

DIL k jaltey hoe zakhmo ko hawa mat dena

DIL k jaltey hoe zakhmo ko hawa mat dena beety lamho k kisi pal ko sada mat dena teri aankho k ye aansoo to anmol moti hain apni naadani mei tum in ko ganwa mat dena ab maza deney laga drd-e- mohabbat muj ko muj ko is drd ki ab koi dawa mat dena yun na ho k log mohabbat hi se toba kr lein is tarah jurm-e- mohabbat ki saza mat dena log aksr yun hi bin pochey chaley aaty hain koi pochy b to tum dil ka pata mat dena...:-

Eik Haseen kaneez, Raja Ranjet Singh k darbar

Eik Haseen kaneez, Raja Ranjet Singh k darbar me Raqs kr rahi thi (Ranjet singh buhut bad surat tha) Raqs k bad kaneez ne Raja se 1 sawal ki ijazat talab ki Raja ne kaha k pocho kaneez ne kaha Jab Khuda Husan taqsem kr rha ta Ap kaha ty Raja ne ghusa na kia balke Muskurate howy Kaha GOLDEN WORDS. Jab TUM Husan ki line me khari husan le rahi thi Tu me Qismat ki Line me khara Qismat le raha tha Or Aaj tuj jesi Husan walian meri kaneez hain! Is leyay sha'air kehta hai "Hussan" na mang "Naseeb" mang A "Dost" "Hussun" walay aksar "Naseeb" walo k ghulam hoa krtay hain.

Shikway shikayton ki nahi, ye zarf zarf ki bat hai

" Apni taqdeer mein to kuchh aesey hi silsiley likhey hein "DOST" Kisi ne bhool ker apna liya to koe apna ker bhool gaya "- ===<<<>>>===<<<>>>===<<<>>>===<<<>>> : Aaj Ki Raat Bhi Qayamat Ki Trha Guzri faraz Najane Kya Bat Thi Har Bat Pe tum yaad Aay. ===<<<>>>===<<<>>>===<<<>>>===<<<>>> *~*Aaj t0 unki yaad mein aese kh0e hain... "Faraz" *~*Jaise tanha kashti k0 samandar mein shaam h0 jae... ===<<<>>>===<<<>>>===<<<>>>===<<<>>> ~Agar tu mera hai to MUJH pe Mehrban kiyun nahi "GALIB" Kia tujy khabar nahi bin tery kitna UDAS rehta hon main... ===<<<>>>===<<<>>>===<<<>>>===<<<>