Be chain umangon ko behla k chale jana,
Be chain umangon ko behla k chale jana, Hum tum ko na roken ge bas aa k chale jana, Milne jo na aaye tum thee kon c majboori, Jhoota koi afsana dohra k chale jana, Jo aag lgi dil may wo sard na ho jaye, Bujte huey sholon ko brhka k chale jana, Ujri nazr ati hai jzbat ki hryali, Tm is pay koi badl brsa k chale jana, Furqt ki aziat may kch sbr b lazim hai, Ye baat mere dil ko smjha k chale jana,