Posts

Showing posts from April 14, 2011

KHAMOSH RAAHON mein tera SAATH chahiye

KHAMOSH RAAHON mein tera SAATH chahiye! TANHA hai mera Haath, tera HAATH chahiye! Mujh ko mere MUQADAR per itna YAQEEN to hai, Tujh ko bhi mere LAFZ, meri har BAAT chahiye! Main KHUD apni SHAAIRI ko kiya ACHHA kehon? Mujh ko teri TAREEF teri DAAD chahiye! EHSAAS-E-MUHABBAT tumhare WAASTE hai! Lekin JUNOON-E-ISHQ ko teri her SOGHAAT chahiye! Logon ko SAANSON ki chahe ho zarurat Mujhe JEENE k liye sirf Tera "SAATH" chahiye.

Lafz tuutay , lab-E-izhaar tak aatay aatay

Lafz tuutay , lab-E-izhaar tak aatay aatay, Marr gaye hum tere mayaar tak aatay aatay. Hum samajhtay thay k kuch waqt lagay ga shayd, Ik inkaar ko iqraar tak aatay aatay. Hath rakhna para hamen bhi sine pe akhir. Dil kahan rehta hai dildar tak aatay aatay. Aik lamhy ki musaafat bhi barri hoti hai. Hm ko to umar lagi yaar tak aatay aatay.

Main TITLIYOON ko sula doon ga zara tum SHAAM honay do.

* GAZAL * Main TITLIYOON ko sula doon ga zara tum SHAAM honay do. Main JUGNUON ko jaga doon ga zara tum SHAAM honay do. Meri ghamnaak ankhoon ko na tum dekho HAQAARAT se, Main tum ko b rula doon ga zara tum SHAAM honay do. kahan AGHAAZ hota hai kahan ANJAAM hota hai, Hunnar saaray sikha doon ga zara tum SHAAM honay do. Jo tum ne mujh se poocha hai kahan hogi tumhari SHAAM, jahan ho gi bata doon ga zara tum SHAAM honay do.....!

Usy Apni Zid Ki Fikr Thi". ."Mujhy Apni Anaa Ka Khayal Tha".

."Usy Apni Zid Ki Fikr Thi". ."Mujhy Apni Anaa Ka Khayal Tha". .."Na Mil Sky Hum Phir Kabi".. .."Wo Hamri "MOHABATON" Ka Zawaal Tha".. .."Mere Liye Uska Saath Hi Sab Kuch Tha".. .."Uss K Liye Yeh Sab Mazak Tha" .."Usy Manzilo Ki Fikr Thi" .."Or Yahan Meri Zindagi Ka Sawaal Tha"

Aisa nahi k tujh se mohabbat nahi hamein

% "GHAZAL " % Aisa nahi k tujh se mohabbat nahi hamein, ghum roz roz sehne ki aadat nahi hamein, har bar tere saamne sar ko jhuka liya, or phir bhi dekh tujh se shikayat nahi hamein, tujh par aitabar kar k tujhe chahte hain hum, tere siwa kisi ki bhi chahat nahi hamein, hum jante hain k to bhi he tanha mere bin, oron se pochne ki zarorat nahi hamein, to Qatal bhi kare ga to aayenge tere paas, dekh tere bagair rehne ki aadat nahi hamein..

"Kitna ikhtiyar tha usko apni chahat pe "Mohsin"

"Kitna ikhtiyar tha usko apni chahat pe "Mohsin" Is liye jab chaha yaad kiya jab chaha bhula diya" "Janta tha wo mujh ko behlane k har andaz "FARAZ" Is liye jab chaha hansa diya jab chaha rula diya" "Rakhta to tha wo mera bohot hi khayal "Wasi" Is liye jab chaha khafa kiya jab chaha mana liya" "Lagta to tha usko hai mujh se bohot hi piyar "Saaqi" Is liye jab chaha apna bana liya jab chaha daman chura liya.

Dil Par Aisay Bhi Azabon Ko Utarte Dekha

(Gazal) Dil Par Aisay Bhi Azabon Ko Utarte Dekha Hum Ne Chup Chaap Usay Khud Se Bicharte Dekha. Tujh Ko Socha To Hr Soch Mein Khushbo Utri Tujh Ko Likha To Hr Lafz Mehakte Dekha. Yaad Aa Jaye To Qabu Nahi Rehta Dil Par Warna Dunya Ne Bhi Hum Ko Tarapty Dekha. Teri Soorat Ko Faqat Aankh Hi Na Tarsi Hai Raston Ko Bhi Teri Yaad Mein Rote Dekha. Hum Mohabbat K Liye Aaj Bhi Dewane Hain Ye Alag Baat Hai K Tum Ne Nahi Murr K Dekha

WAFA" k nam ek dastan likh rha tha

WAFA" k nam ek dastan likh rha tha. MUSHKIL lafzon ko asan likh rha tha. WAFA" ki talash me sara jahan likh rha tha. NA mili wafa to lafz nakam likh rha tha. NAHI miltey dhondney se bhi wafa krne waley. ISLIYE sarey jahan ko bewafa likh rha tha. NA" krna pyar kabi zindagi me marey dost. MILTI" he pyar me ruswai ye bar bar likh rha tha. Q" kartey hen pyar me itney wadey log " PIYAR me tootey hve wadey hazar likh rha tha.

Kabhi na hathon se hath chootey khayal rakhna

<----GAZAL----> Kabhi na hathon se hath chootey khayal rakhna, Kabhi na chahat ka maan tootey khayal rakhna, Bacha k rakhna mohabat ko rahzanon se, Wafa ki dolat jafa na lootey khayal rakhna, Jo ho mohabat to ranjishon se guraez karna, Kisi ka nazuk sa dil na tutey khayal rakhna..

Mujhe Mohabbaton Se Kuch Milla Nahi

Mujhe Mohabbaton Se Kuch Milla Nahi... Mujhe Tum Se Bhi Koi Gila Nahi... Meri Zindagi To Bas 1 Uljhan Si Hai Jise Kabhi Kisi Ne Suljhaya Nahi Meri Zaat Se Kisi Ko Koi Takleef Ho Main Ne To Khabi Ye Chaha Nahi Har Eik Ne Mujh He Ko Dard Diya Mera Dard To Kisi Ne Samjha Nahi Kyun Main Raston Ko Ilzaam Don Mera Hamsafar He Sath Chala Nahi Main Us Ko Bewafa Sa Lagta Hon Jise Khud Wafa Ka Pata Nahi..

Jo hum Mehsoos kerte hain Agar Tum tak pahonch jaye

Jo hum Mehsoos kerte hain ! Agar Tum tak pahonch jaye! To bas itna samajh lena! Ye un jazbon ki khusboo hy! Jinhen hum keh nahi sakte ! Magar Tum jo ijaazat do! To chand Lafzon me keh daloon ! k "Tum Bin Mar To Sakte Hain" "TUM BIN Jee NAHI SAKTE !

Kash tu Bhool Jata Sabhi Nafratein

...GHAZAL... Kash tu Bhool Jata Sabhi Nafratein, Ek Pal K Wastay.. Mera Dil Kab Se Udaas Hai, teri Mehfil K Wastay.. Ek Aas Ka Diya Jalaye Baitha Hoon, jo K Jalta Hai Sirf tere Hi Wastay.. Jaanta hoon.! tu loat Ker Nahi Aaye Ga Mere Paas, Jaanay Q!, Har Baar Sajata hoon Mehfil tere Wastay.. Kabhi Aa Ker to Dekh Mera Haal Kia Hai.. Main Kia tha, Kia Ban Gaya hoon, tere Wastay....!!I!!

Kash tu Bhool Jata Sabhi Nafratein

...GHAZAL... Kash tu Bhool Jata Sabhi Nafratein, Ek Pal K Wastay.. Mera Dil Kab Se Udaas Hai, teri Mehfil K Wastay.. Ek Aas Ka Diya Jalaye Baitha Hoon, jo K Jalta Hai Sirf tere Hi Wastay.. Jaanta hoon.! tu loat Ker Nahi Aaye Ga Mere Paas, Jaanay Q!, Har Baar Sajata hoon Mehfil tere Wastay.. Kabhi Aa Ker to Dekh Mera Haal Kia Hai.. Main Kia tha, Kia Ban Gaya hoon, tere Wastay....!!I!!

Phir Taron Bhari Raten Hen

~..TANHAI..~ Phir Taron Bhari Raten Hen, Phir Khushbu Ki Baraten Hen. Phir Sham Ka Thanda Aanchal Hai, Or Ek Behekta Badal Hai. Phir Sawan Toot K Barsa Hai, Phir Dil Itna Tarsa Hai. Phir Dunya K Jhamelo Men, Phir Zindagi K Melo Men, Uski Yaad Ki Shehnai Hai. MAIN hoon Or MERI Tanhai Hai..

Meri qisMAT me bhi aisa koi sajda ataa kar de.!

Meri qisMAT me bhi aisa koi sajda ataa kar de.! Jo mere saare gunahon ka madawa kar de.! Saari duniya se chhura kar, mujhe APNA kar de.! Meri mitti ko Khudaya sona kar de.! Hum Tere chahne wale hain magar hai hasrat. Jin ko TU chahta hai hum ko bhi Waisa kar de.! Ek nazar Apni gunah'gaar pe kar k Mola.. Apni Rehmat ka talab'gaar, hamesha kar de.! ( Ameen)

Yuun Bhi To Zindagi Main Tamaasha Raha Bohat

Yuun Bhi To Zindagi Main Tamaasha Raha Bohat Wo Mujh Se Door Or Main Tanha Raha Bohat Us Ne Palat Ke Poocha Na Kis Haal Main Hai Tu Lekin Main Us Ko Khairiyat Likhta Raha Bohat Wo Kon Tha Jo Hansta Tha Sarrkon Pe Raat Bhar Is Waaqeyey Ka Sheher Main Charcha Raha Bohat Kal Raat Hum Se Raat Guzaari Na Ja Saki Kal Raat Dil Main Shor-E-Tamanna Raha Bohat Bezaar Ho Ke Jeena Koi Khail To Na Tha Is Kaifiiyat Main Reh Ke Bhi Jeeta Raha Bohat

Barson Guzar Gaye Ro Kr Nahi Dekha

Barson Guzar Gaye Ro Kr Nahi Dekha, Aankhon Main Neend Thi Magr So Kr Nahi Dekha, Wo Kya Jane Dard Muhabbat Ka, Jis Ne Kabhi Kisi Ka Ho Kr Nahi Dekha.

Ek Shaks Ki Chaht Ka Armaan Raha Akser

Ek Shaks Ki Chaht Ka Armaan Raha Akser, Jo Jan Kar Bi Sab Kuch Anjan Raha Akser,, Ye Pyar Muhabt Ka Ha Khel Khuda Jany Kaisa, K Jis Ne Wafa Ki, Us Ko Nuksan Raha Akser,, Aata Ha Wo Nendon Me Rehta Ha Wo Khwabon Me, Ek Ye He To Us Ka Mujh Pe Ehsaan Raha Akser...