Main pi k chup rha wo pila k chup rha
Main pi k chup rha wo pila k chup rha, kya gulaab tha jo murjha k chup rha, Halaat ne kr diya usay kitna sangdil, Main sun k ro para wo suna k chup rha, Badlay huwe halaat mujhy ghamgeen kr gaye, Wo phir bhi door se hi muskura k chup raha, Shayad wo torna nahi chahta tha dil mera, Esi liye itna qareeb aa k chup raha, Wo door ho gaya main kuch bhi na kr saka, Ankhon se faqat ansoo baha k chup raha.