Posts

Showing posts from January 15, 2011

Muddaii laakh buraa chaahe to kyaa hotaa hai

-> Mast Kalkattavi ==> ==> ==> ==>Muddaii laakh buraa chaahe to kyaa hotaa hai ==>Vahii hotaa hai jo manzuur-e-Khudaa hotaa hai ==>Surkhruu hotaa hai insaaN ThokareN khaane ke baad ==>Rang laatii hai hinaa patthar pe pis jaane ke baad ==>Voh phuul sar chaRhaa jo chaman se nikal gayaa ==>Izzat use milii jo vatan se nikal gayaa ==>Haqiiqat chhup nahiiN saktii banaavaT ke usuuloN se ==>Ki Khushbuu aa nahiiN saktii kabhii kaaGhaz ke phuuloN se ==>MiTaa de apnii hastii ko gar kuchh martabaa chaahe ==>Ki daana Khaak meN mil kar gul-o-gulzaar hotaa hai... G=>A=>B

Lagtaa nahiin hai dil meraa ujRe dayaar mein

-> Bahadur Shah Zafar => => ==>Lagtaa nahiin hai dil meraa ujRe dayaar mein ==>Kiski banii hai aalam-e-naa paaidaar mein ==>Kah do in hasraton se kahiin aur jaa basen ==>Itnii jagah kahaan hai dil-e-daagdaar mein ==>Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din ==>Do aarzuu mein kat gaye, do intezaar mein ==>Kitnaa hai badnasiib zafar dafan ke liye ==>Do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar mein...

MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

Mukaddar k sitaron per, Zamanay k esharon per, udasi k kinaron per, kabhe veran shehraon per, kabhe sunsan rahon per, kabhi hairon ankhon main, kabhi bayjan lamhon main, tumhari yad chupkay say, koi sargoshi kerti hay, yeh palkain bheeg jati hain, do ansu tot girtay hain, main palkon ko jhukata hon, bazahir muskurata hon, faqat itna he kah pata hon, mujhey kitna sataty ho, MUJHEY TUM YAD ATAY HO, MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya, Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main, Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya, Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se, usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya...

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya, Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main, Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya, Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se, usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya...

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya, Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main, Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya, Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se, usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya...

Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna

Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna, Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna, Main poch poch haron, so so sawal kar k, Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna, Main kisi roz tum ko sada dun, Aur tum na aao, aisa kabhi na karna, Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta, Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna ….!!

Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna

Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna, Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna, Main poch poch haron, so so sawal kar k, Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna, Main kisi roz tum ko sada dun, Aur tum na aao, aisa kabhi na karna, Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta, Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna ….!!

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey, Bahoun main apni sama lo mujhey, Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin, Tum aa ker mujh se chura lo mujhey, Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray, Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey, Mere sab se gehri Khuwahish ho puri, Tum agar pas apnay bula lo mujhey, Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai, Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey, Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani, Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey...

Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri

Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri, zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri! Main jo daftar k liye ghar se nikal ker jaon, Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon! Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko, muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko! Jo urRaday mujhay khudkash to doain dunga, bay wazu hokay chacha bush ko doain donga ! Biwi bachon ko meri jan ki qeemat mil jai, bethay bethay meray ghar walon ko daulat mil jaye! Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat, aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat ! Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab, Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab ! In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna, Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna! Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon sai Jan aur maal ho mefoz police walon sai! Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay, Aur zinda na rahaingay to barhaingay kaisay...!

Kya khabar tum ko dosti kya hai

THIS WAS SENT ME MY BEST FRIEND GUL MUHAMMED... Geo Or Jeni Do.. Kya khabar tum ko dosti kya hai Ye roshni bhi hai andhera bhi hai Khwahishon se bhara jazeera bhi hai Bohat anmol ek heera bhi hai Dosti ek haseen khwab bhi hai Pass se dekho to sarab bhi hai Dukh milne pe yeh azaab bhi hai Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai Dosti yoon to maya jaal bhi hai Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai Kabhi zameen kabhi falak bhi hai Dosti jhoot bhi hai such bhi hai Dil main reh jai to kassak bhi hai Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai Dosti saaz bhi sangeet bhi hai Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai Wafa kya hai wafa bhi dosti hai Dil se nikli Dua bhi dosti hai Bas itna samajh lo tum Pyaar ki inteha bhi dosti hai...

Saza Dene Wale Raza Puchte Hain

Saza Dene Wale Raza Puchte Hain, Jeene Ki Humse Wajah Puchte Hain, Dete Hain Khud He Zahar Humko Aakar, Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain, Jub yad ka album kholon to, Kuch log bohut yad ate hain, Main guzre dinon ka sochon to, Kuch log bohut yaad ate hain, Ab jane kis nagri main, Soay pare hain muddat se, Main raat gaye tuk jaogon to, Kuch log bohut yaad aate hain Kuch batein theen pholon jesi, Kuch khushbo jese lehje thy, Mein sheher-e-chaman mein tehlon to, Kuch log bohut yaad aate hain Wo pal bhar ki narazgiyan, Aur maan bhi jana pal bhar main, Ab khud se jub bhi rothon to, Kuch log bohut yaad aate hain....

Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di

Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di, Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi UjaR Di, Kusoor Unka Nahi Hamara Hai Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi Guzar Di...

Chahoo Jo meri khataoon ki saza do mujh ko

Chahoo Jo meri khataoon ki saza do mujh ko Per Khata kya hai zara itna bata do mujh ko Meiney chaha tha tumhien aisey tu aakhir kyun kar In wafaoon k siley aisi wafa do mujh ko Bhoolna tum ko hamarey liey na mumkin hai Jo ho sakey tu sanam tum hi bhula do mujh ko Ab agar soch hi lia hai jo qata ka "SAAIR" Mein mar hi jaaon koi aisi saza do mujh ko..

DAMAN

DAMAN YUN NA MUJH KO DEKH TERA DIL PIGHAL NA JAYE MERE AANSUO SE TERA DAMAN JAL NA JAYE *~~*~~*~~* WO MUJH SE PHIR MILA HAI AAJ KHAWABON MAI AE KHUDAYA KAHIN MERI NEEND KHUL NA JAYE *~~*~~*~~* PUCHA NA KER SAB KE SAMNE MERI KAHANI KABHI TERA MAAM HOTON SE NIKAL NA JAYE *~~*~~*~~* JI-BHAR KE DEKH LO HUM KO TUM SANAM KYA PATA PHIR ZINDAGI KI SHAAM DHAL NA JAAYE *~~*~~*~~* YUN NA MUJH KO DEKH TERA DIL PIGHAL NA JAYE MERE AANSUO SE TERA DAMAN JAL NA JAYE *~~*~~*~~*

SOCHA NAHI ACHA BURA, DEKHA SUNA KUCH B NAHI

SOCHA NAHI ACHA BURA, DEKHA SUNA KUCH B NAHI MANGA KHUDA SE RAAT-DIN, TERE SIWA KUCH B NAHI ********** DEKHA TUJHE CHAHA TUJHE, SOCHA TUJHE POOJA TUJHE MERI WAFA MERI KHATA, TERI KHATA KUCH B NAHI ********** JIS PER HAMARI AANKH NE, MOTI BICHAYE RAAT BHAR BHEJA WOHI KAGAZ USEY, HUM NE LIKHA KUCH B NAHI ********** AUR EK SHAAM KI DEHLEEZ PER, BETHEY RAHE WO DAIR TAK AANKHON SE KI BATAIN BOHT, MUNH SE KAHA KUCH B NAHI ********** DO-CHAAR DIN KI BAAT HAI, DIL KHAAK MAI MIL JAYE GA AAG PER JAB KAGAZ RAKHA, BAQI BACHA KUCH B NAHI **********

MUJSE MAT POOCH KI KYUN AANKH JHUKA LI MAINE

MUJSE MAT POOCH KI KYUN AANKH JHUKA LI MAINE, TERI TASVEER THI JO TUJHSE CHUPA LI MAINE, JIS PE LIKHA THA KI TU MERE MUQADDAR MEIN NAHI, APNE MAATHE KI WOH TEHREER MITA LI MEINE, HAR JANM SABKO YAHAAN SACHHA PYAAR KAHAAN MILTA HAI, TERI CHAAHAT MEIN TO UMR BITA LI MEINE, MUJHKO JAANE KAHAAN EHSAAS MERE LE JAAYEIN, WAQT KE HAATHON SE EK NAZM UTHA LI MEINE, GHERE REHTI HAI MUJHE EK ANOKHI KHUSHBU, TERI YAADON SE HAR EK SAANS SAJA LI MEINE, JISKE SHERON KO WOH SUNKE BAHUT ROYA THA, BAS WOHI EK GHAZAL SABSE CHUPA LI MEINE..

Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do

Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do, Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do, Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho, Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do, Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein, Mujhey yeh batanay ki ijazat day do, Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra, Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do, Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar, Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do...

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi, Jab chand sitare chamak rahe hon, Jab yadon k phool mehek rahe hon, Jab deed ko nain taras rahe hon, jab ankhon se ansu baras rahe hon, Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi Jab tanhai se dil ghabrae ga, Jub tumhein akela pan sataye ga, Jab koi khuwab he na aye ga, Jab phool kitab mein he reh jayenge, Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi..

Na haram mein sukoon milta hai

Na haram mein sukoon milta hai, but khane mein Chain milta hai, to saqi tere maikhane mein,., Jhoom barabar jhoom sharabi jhoom barabar jhoom Kali ghata hai mast faza hai, jaam utha kar ghoom ghoom ghoom jhoom barabar jhoom sharabi jhoom barabar jhoom Aaj angoor ki beti se mohabbat kar le,., Shaikh sahab ki nasihat se baghawat kar le,, Iski beti ne utha rakhi hai sar par duniya,., Yeh to acha hua angoor ko beta na hua,., Kam se kam surat-e-saaqi ka nazaara kar le,., Aa ke maikhaane mein jeene ka sahaara kar le,., Aankh milte he jawani ka maza aayega,., Kuchh to angoor ke paani ka mazaa aayega,., Har nazar apni basad shauq gulaabi kar de,., Itni pee le ke zamaane ko sharaabi kar de,., Jaam jab samne aaye to mukarna kaisa,., Baat jab peene ki aa jaye to darna kaisa,., Dhoom machi hai maikhaane mein,., Tu bhi macha le dhoom dhoom dhoom Jhoom barabar jhoom sharabi jhoom barabar jhoom..,. Iske peete hi tabiyat mein rawaani aaye,., Isko buRha bhi jo pee le to jawaani aaye,., Peene wale tujhe

Kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi

THIS GHAZAL WAS SENT ME MY BEST FRIEND IQBAL HYDER... Kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi,, Sehra ki tashngi thy so daria sharab pi,, Apno ne taj dia hai to gairon mein ja ke baith,, Ae khana-kharab na tanha sharab pi,, Tu ham safar nahi hai to kya sair-e-gulistan,, Tu ham sabu nahi hai to phir kya sharab pi,, Ae dil garifta ha-e-jana sabu utha,, Ae kashta jifaye zamana sharab pi,, Do surtein hain yaroo dard-e-firaq ki,, Ya is ke gam mein toot ke roya sharab pi Ik meharban bazurg ne ye mashwara dia,, Dukh ka koi ilaaj nahi hai, ja kar sharab pi,, Badal garaj raha tha idhar, mohtasib udher,, Phir jab talak ye ghaqda na, suljha sharab pi Do jaam in ke naam bhi ae peer-e-maikada,, Jin ruftagan k sath hamesha sharab pi,, Kal hum se apna yar khafa ho gia "FARAZ" Shayad ke hum ne had se zyada sharab pi...

Hai galat gar gumaan meN kuchh hai

Hai galat gar gumaan meN kuchh hai,, Tujh sivaa bhii jahaan meN kuchh hai,, Dil bhii tere hii Dhang siikhaa hai,, Aan meN kuchh hai, aan meN kuchh hai,, Be-khabar teG-e-yaar kahtii hai, Baaqii is neem-jaan meN kuchh hai,, In dinoN kuchh ajab hai meraa haal,, Dekhtaa kuchh huuN, dhyaan meN kuchh hai,, Dard to jo kare haiN jii ka ziyaaN, Faaida is ziyaaN meN kuchh hai,, - MEER DARD

qadam insaaN ka raah-e-dahar meN tharraa hii jaata hai

qadam insaaN ka raah-e-dahar meN tharraa hii jaata hai,, Chale kitnaa hii koii bach ke Thokar khaa hii jaataa hai,, Nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa phir bhii,, Hujuum-e-kashmkash meN aadmii ghabraa hii jaataa hai,, Khilaaf-e-maslahat maiN bhi samajhta huN,, Magar vaaez vo aate haiN to chehre pe taGaiyyur aa hii jaataa hai,, HavaaeN zor kitnaa hii lagaaeN aaNdhiyaaN ban kar,, Magar jo ghir ke aataa hai vo baadal chhaa hii jaataa hai,, Shikaayat kyuuN ise kahte ho ye fitrat hai insaaN kii,, Musiibat meN khayaal-e-aish-e- rafta aa hii jaataa hai,, Samajhtii haiN maal-e-gul meN kyaa zor-e-fitrat hai,, Sahar hote hii kaliyoN ko tabassum aa hii jaataa hai,, - JOSH MALIHABADI

Meri zindagi kisi aur ki Mere naam ka koi aur hai

Meri zindagi kisi aur ki Mere naam ka koi aur hai,, Mera aks hai sar-e-aaina Bas yeh aaina koi aor hai,, Meri dhaRkanon mein hai chaap si,, Yeh judaai bhi hai milaap si Mujhe kya pata mere dil bata,, Mere saath kya koi aur hai, Na gaye dino ko khabar meri Na shareek-e-haal nazar teri,, Tere des mein mere bhes mein Koi aur tha koi aur hai,, Woh meri taraf nigraan rahe Mera dhyaan jaane kahan rahe,, Meri aankh mein kai suratein Mujhe chahata koi aur hai...