main kisi aur ka hun itna bata kar roya

main kisi aur ka hun itna bata kar roya
vo mujhe mehndi lagay hathdikha kar roya

mujhe anjaam e mohabbat nahi mäloom hargiz

ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya

jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha

vo zamänay ko mera haal suna kar roya

aansu ban kar nikal na jaunkahiN, is Dar se

apne ashkoN ko vo aankhoNmein chhupa kar roya

wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameN

usi lamhay mein vo sadiyoN ko sama kar roya...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,