main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan peh bayth k jati ho

main waheen pe betha rehta hoon

us cheez ko choota rehta hoon

main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho

main us ko dost banata hoon

tum jis rustay par chalti ho

main us say aata jata hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho

wo khuwab….sarhanay rakhta hoon

tum say milnay julnay k

kitnay hi bahanay rakhta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho

jis cheez ko hath lagati ho

main waheen peh baytha rehta hoon

us jaga ko choota rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main

palkon say moti chunta hoon

koi lums agar choo jaa a to

main pehroon us ko sochta hoon

main…aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho

tum jin say batain karti ho

tum jin say huns k milti ho

jo tum ko achay lagtay hoon

wohi mujh ko achy lagtay hain

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho

jis sabzay par tum chalti ho

jo shakh tumhain choo jati hay

jo khushboo…tum ko bhati hay

wo os tumharay chehray par

jo qatra qatra girti hai

wo titli chor k phoolon ko

jo tum say milnay aati hai

jo tum ko choonay aati hay

un sab k nazuk jazbon main

meray dil ki dharkan basti hai

miri rooh bhi shamil rehti hai

tum paas raho ya door raho

nazron main samai rehti ho

main tum ko takta rehta hoon

main tum ko sochta rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

her moqay par her manzar main

main sath tumharay rehta hoon

main chashm-e-tasavvur main aksar

bus tum ko dekhta rehta hoon

bus tum ko sochta rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,